Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?
Nakam nahi, nashad nahi
main Qeais nahi, Farhad nahi
punno bhi nahi, Ranja bhi nahi
Wamique bhi nahi, Mirza bhi nahi
wo log to bas afsana thay
is shiddat se begana thay
main zinda aik haqiqat hon
sar-tapa jazba-e-ulfat hon
har lamha tum pe marta hon
Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?
tum jaha'n bhi beth k jati ho
jis chez ho hath lagati ho
main wahin pe betha rehta ho'n
us chez ko chuta rehta hon
tum jis se hans k milti ho
main us ko Dost banata hon
tum jis raste pe chalti ho
main us se aata jata ho'n
Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?
tum jin ko dekhti rehti ho
wo khwab sarhane rakhta ho'n
main tum se milne julne k
kitne he bahane rakhta ho'n
kuch khwab saja kr aankho'n me
palkho'n se moti chunta ho'n
koi lams agar chu jai to
main pehro'n us ko sochta hon
Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?
jin logon me tum rehti ho
tum jin se batan karti ho
tum jin se hans k milti ho
jo tum ko achay lagtay hay
wahi'n mujh ko achay lagtay hay
Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?
jis bagh me subho ko jati ho
jis sabzay pe tum chalti ho
jo shakh tumhai'n chu jata hay
jo kushbon tum ko bhati hay
wo ous tumharay chehre pr
jo qatra qatra girti hay
wo titli chor k phoolo'n ko
jo tum se milne aati hay
jo tum ko chune aati hay
un sub k nazuk jazbo'n me
mere DIL ki dharkan basti hay
meri ruh bhi shamil rehti hay
tum paas raho ya door raho
nazron me samaie rehti ho
main tum ko takta rehta ho'n
main tum ko sochta rehta ho'n
Main aysi muhabbat karta hon
tum kaise muhabbat karti ho..?
DEBKANCHAN MITRA ... MBA , LLB (GOLD MEDALIST) , TEXTILE DESIGNER,EX-INDIAN RAYON CHIEF OF FLAX FABRICS . A US $380 Billion corporation, the Aditya Birla Group Fortune 500. It is anchored by force of over 136,000 employees. LEFT AS "CHIEF" OF FLAX FABRICS ,WAS GM TO SANGHI SPINNERS, WAS A MEMBER OF UNDP JUTE WAS SENT TO UK , MACKIE FROM A GROUP WILLARD INDIA ADVISOR TO CHITAVALSAH JUTE , WILLARD INDIA GROUP (G M SINGVIJI ABHISHEK SINGHVI'S UNCLE), DEALOR OF SECOND HAND MACHINERIES ,
Wednesday, June 24, 2009
muhabbat !!!!!!!!!!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Plaxo Badge
About Me
- debkanchan
- KOLKATA, WEST BENGAL, India
- TEXTILE DESIGNER CUM SECOND HAND MACHINERY DEALOR
No comments:
Post a Comment